merā dil chaak huā chāk-e-garebāñ kī tarah
ab gulistāñ nazar aatā hai bayābāñ kī tarah
mere siine meñ munavvar hue yādoñ ke charāġh
bazm-e-ḳhūbāñ kī tarah shahr-e-nigārāñ kī tarah
koī monis koī hamdam koī sāthī na milā
maiñ pareshāñ hī rahā zulf-e-pareshāñ kī tarah
ḳhatm ho jā.egī har raushnī duniyā kī magar
tum chamakte hī rahoge mah-e-tābāñ kī tarah
maiñ ne chāhā ki sambhal jaa.e tabī.at merī
dil Tapaktā hī rahā dīda-e-giryāñ kī tarah
chashm-e-ulfat se na dekhā kabhī duniyā ne mujhe
maiñ khaTaktā hī rahā ḳhār-e-muġhīlāñ kī tarah
mere saaqī tire andāz-e-karam ke sadqe
ab to 'maikash' bhī nazar aatā hai insāñ kī tarah