zindagī kī saḳht zanjīroñ meñ jakḌā dekh kar
aaj tum bhī hans rahe ho mujh ko tanhā dekh kar
ab to vo bhī mujh se katrā kar guzar jaane lage
mere māhaul-e-pareshānī kā naqshā dekh kar
hausla kis meñ thā jo detā barābar kā javāb
sabr karnā hī paḌā un kā ravayya dekh kar
aaj tujh ko bhī hañsī aane lagī ai bāġhbāñ
naujavāñ phūloñ ke armānoñ ko pyāsā dekh kar
ahl-e-sāhil ro rahe haiñ qatre qatre ke liye
zarf-e-dariyā ro rahā hai zarf-e-dariyā dekh kar
merī āñkhoñ se bhī 'maikash' gir paḌe ashk-e-alam
pīr-e-mai-ḳhāna ko tanhā.ī meñ rotā dekh kar