ba-qadr-e-zarf mohabbat kā kārobār chale
maza to jab hai ki har lamha zikr-e-yār chale
tirī nigāh ke jab ahl-e-dil pe vaar chale
ḳhizāñ-nasīb chaman jānib-e-bahār chale
utar na jaa.e kahīñ tere husn kī rañgat
ki terī bazm se ab tere jāñ-nisār chale
jo aa ga.ī kabhī sar dene kī ghaḌī ai dost
ḳhushī ḳhushī tire dīvāne sū-e-dār chale
udaas dekh ke māhaul-e-mai-kada saaqī
niyāz-mand-e-vafā aaj sogvār chale
ma.āl-e-lazzat-e-shauq-e-visāl kī saugand
qarār māñgne aa.e the be-qarār chale
ḳhayāl-e-bāda-kashī aa gayā jo ai 'maikash'
adab se jānib-e-mai-ḳhāna bāda-ḳhvār chale