zindagī naqs-e-zindagī to nahīñ
bandagī meñ koī kamī to nahīñ
aap kī dostī se Dartā huuñ
aap se koī dushmanī to nahīñ
be-usūlī usuul ho jaa.e
aap par aisī be-ḳhudī to nahīñ
aaj zulmat ke chehre par hai nuur
un kā ġham bā.is-e-ḳhushī to nahīñ
maiñ gunāhoñ meñ ġharq huuñ lekin
us kī rahmat meñ kuchh kamī to nahīñ
mere siine meñ saikḌoñ bal haiñ
un kī zulfoñ meñ barhamī to nahīñ
aam hai zikr-e-ḳhās ai 'maikash'
ab koī baat raaz kī to nahīñ