mirā dīvāngī par is qadar maġhrūr ho jaanā
ki rafta rafta hadd-e-āgahī se duur ho jaanā
pata detā hai gumrāhī-e-rahgīr-e-mohabbat kā
bichhaḌnā aur bichhaḌ kar qāfile se duur ho jaanā
kahīñ duniyā-e-ulfat ko tah-o-bālā na kar Daale
ġhurūr-e-husn ke aa.iin kā dastūr ho jaanā
azal se tīra-baḳht-e-ishq ke hisse meñ aayā hai
shab-e-ġham-e-dil kā jal jal kar charāġh-e-tūr ho jaanā
mirī dānist-e-nāqis meñ kamāl-e-ḳhud-numā.ī hai
zamīñ se āsmāñ tak aap kā mash.hūr ho jaanā
kisī kā jashn-e-āzādī manānā hai bahut āsāñ
magar dushvār hai ġhārat-gar-e-jamhūr ho jaanā
ragoñ kā ḳhuun rafta rafta ThanDā ho chalā 'maikash'
mire dard-e-jigar ko aa gayā kāfūr ho jaanā