mirī har ḳhushī ḳhushī thī tirī har ḳhushī se pahle
mujhe koī ġham nahīñ thā ġham-e-āshiqī se pahle
koī kashmakash nahīñ thī ġham-e-dushmanī se pahle
mujhe ḳhauf hī kahāñ thā tirī dostī se pahle
na bahār-e-mai-kadā thī na surūr-baḳhsh naġhme
tire mai-kade meñ kyā thā mirī mai-kashī se pahle
maiñ duā.eñ chāhtā huuñ maiñ duā kā mustahiq huuñ
tumheñ kaun jāntā thā mirī dostī se pahle
huī sham-e-husn raushan to maiñ ban gayā patañgā
tirī bandagī thī suunī mirī zindagī se pahle
kahīñ tīrgī thī 'maikash' kahīñ tīrgī ke Dere
kahīñ raushnī nahīñ thī mirī raushnī se pahle