ahbāb ke qarīb mohabbat se baiThiye
izzat jo mil ga.ī hai to izzat se baiThiye
un kī galī meñ jaanā zarūrī nahīñ magar
jaanā jo ho gayā to sharāfat se baiThiye
anjām-e-ishq Thiik hī hogā janāb-e-shaiḳh
fursat se aa ga.e ho to fursat se baiThiye
sāhil se har ḳhushī kā nazāra fuzūl hai
tūfān-e-ġham meñ rah ke bhī himmat se baiThiye
nafrat kī baat karnā gunāh-e-azīm hai
mahbūb ke qarīb to chāhat se baiThiye
rah rah ke gir rahī haiñ nigāhoñ kī bijliyāñ
aa kar hamāre paas mohabbat se baiThiye
'maikash' ko piine dījiye zulfoñ kī chhāñv meñ
kuchh der us ke paas mohabbat se baiThiye