Afzaal Firdaus

main KHak mein mile hue gulab dekhta raha

Afzaal Firdaus

1957
maiñ ḳhaak meñ mile hue gulāb dekhtā rahā
aur aane vaale mausamoñ ke ḳhvāb dekhtā rahā
kisī ne mujh se kah diyā thā zindagī pe ġhaur kar
maiñ shāḳh par khilā huā gulāb dekhtā rahā
khaḌā thā maiñ samundaroñ ko ok meñ liye hue
magar ye shaḳhs ajiib thā sarāb dekhtā rahā
vo us kā mujh ko dekhnā bhī ik tilism thā magar
maiñ aur ik jahāñ pas-e-naqāb dekhtā rahā
vo gahrī niiñd soī thī maiñ niiñd se laḌā huā
so raat bhar sahāb o māhtāb dekhtā rahā
siyāh raat meñ rafīq dushmanoñ se jā mile
maiñ hausloñ kī TūTtī tanāb dekhtā rahā
Top Urdushayar.com