jab apnoñ se duur parā.e des meñ rahnā paḌtā hai
sān-gumān na hoñ jis kā vo dukh bhī sahnā paḌtā hai
ḳhud ko mārnā paḌtā hai is aaTe daal ke chakkar meñ
do kauḌī ke aadmī ko bhī sāhab kahnā paḌtā hai
banjar hotī jaatī ho jab pal pal yādoñ kī vaadī
dariyā ban kar apnī hī ā.ankhoñ se bahnā paḌtā hai
mahrūmī kī chādar oḌhe tanhā qaidī kī mānind
ḳhālam-ḳhālī dīvāroñ ke andar rahnā paḌtā hai
bāteñ karnī paḌtī haiñ dīvār pe baiThe kavve se
is chiḌiyā se saare din kā qissa kahnā paḌtā hai