Afzaal Firdaus

is tarah sataya hai pareshan kiya hai

Afzaal Firdaus

1957
is tarah satāyā hai pareshān kiyā hai
goyā ki mohabbat nahīñ ehsān kiyā hai
tujh ko hī nahīñ mujh ko bhī hairān kiyā hai
is dil ne baḌā ham ko pareshān kiyā hai
sochā thā ki tum dūsroñ jaise nahīñ hoge
tum ne bhī vahī kaam mirī jaan kiyā hai
har roz sajāte haiñ tirī yaad ke ġhunche
āñkhoñ ko tire hijr meñ gul-dān kiyā hai
mushkil thā bahut mere liye tark-e-ta.alluq
ye kaam bhī tum ne mirā āsān kiyā hai
ye dil kā nagar aise to vīrān thā kab se
lā-raib ise aap ne sunsān kiyā hai
ye izzat-o-nāmūs sabhī us kī atā hai
vo jis ne gaḌariye ko bhī sultān kiyā hai
Top Urdushayar.com