Afzaal Firdaus

Dub gaya hai ek sitara aankhon mein

Afzaal Firdaus

1957
Duub gayā hai ek sitāra āñkhoñ meñ
Thahar gayā hai naqsh tumhārā āñkhoñ meñ
pathrā.ī haiñ āñkheñ ġham kī shiddat se
rukā huā hai mausam saarā āñkhoñ meñ
vo logoñ ke saath hañsī meñ shāmil thī
phail gayā lekin maskārā āñkhoñ meñ
maiñ ne us kī āñkhoñ meñ chehra dekhā
us ne apnā ruup sañvārā āñkhoñ meñ
bahut dinoñ se ham ko niiñd nahīñ aa.ī
tum ne kaisā ḳhvāb utārā āñkhoñ meñ
chāroñ jānib paanī kī pahnā.ī hai
kahīñ nahīñ hai koī kinārā āñkhoñ meñ
liye hue phirtā huuñ ek zamāne se
tere chehre kā lashkārā āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com