Afzaal Firdaus

gham ka mausam bit gaya so rona kya

Afzaal Firdaus

1957
ġham kā mausam biit gayā so ronā kyā
kal ke ġham ko aaj ke din meñ bonā kyā
Thiik hai ham ik-dūsre ke mahbūb nahīñ
lekin mere dost to ab bhī honā kyā
aur bahut se kaam paḌe haiñ karne ke
ashkoñ ke sat-rañge haar pironā kyā
jis ko merī hālat kā ehsās nahīñ
us ko dil kā haal sunā kar ronā kyā
be-shak saarī raat kaTī hai āñkhoñ meñ
ab ujyārā phail gayā to sonā kyā
tum ne hañste hañste naata toḌ liyā
lekin sach sach batlāo ḳhush honā kyā
Top Urdushayar.com