Baqar Mehdi

gunjta shahron mein tanhai ka sannaTa to hai

Baqar Mehdi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1927-2006
gūñjtā shahroñ meñ tanhā.ī kā sannāTā to hai
be-kasī kā ham-navā ab tak vahī saayā to hai
TūTtī jaatī haiñ ummīdoñ kī zanjīreñ magar
Thokareñ khāne ko majbūrī kā ik sahrā to hai
chāñd kyā niklegā ḳhvāboñ kī añdherī raat hai
duur tak taarā ḳhayāloñ kā magar chamkā to hai
būḌhe sarkash zar-garī meñ rahzanoñ ke saath haiñ
inqalāb-e-nau kā vo pindār ab TuuTā to hai
in ḳhatīboñ kā tilism-e-lan-tarānī toḌ de
is hujūm-e-be-navāyāñ meñ koī aisā to hai
qissa-e-ādam kī talḳhī zindagī ke saath hai
jannateñ lākhoñ banā kar aadmī tanhā to hai
shor hai Dūbīñ hazāroñ azmateñ tārīḳh kī
kitnī ḳhāmoshī se bahtā vaqt kā dhārā to hai
muskurā kar zer-e-lab shāyad yahī kahte haiñ vo
laakh saudā.ī sahī 'bāqar' magar apnā to hai
Top Urdushayar.com