agarche hādse guzre haiñ pāniyoñ kī tarah
ḳhamosh rah ga.e ham log sāhiloñ kī tarah
kisī ke sāmne maiñ kis liye zabāñ kholūñ
milī hai apnī anā mujh ko dushmanoñ kī tarah
tire baġhair nazar aa.e haiñ mujhe aksar
makān ke dar-o-dīvār qātiloñ kī tarah
na jaane kaun sī manzil ko chal diye patte
bhaTak rahī haiñ havā.eñ musāfiroñ kī tarah
hamīñ ne khol ke lab ruuh phūñk dī varna
tamām harf the be-jān pattharoñ kī tarah
maiñ ro rahā thā shab-e-ġham kī zulmatoñ se bahut
ḳhudā kā shukr jale zaḳhm mish.aloñ kī tarah
yahī to 'kaif' hasad hai ki dil bhī yāroñ ke
siyāh ho ga.e likkhe hue ḳhatoñ kī tarah