sahrā lage kabhī kabhī dariyā dikhā.ī de
hairān huuñ maiñ kyā hai jahāñ kyā dikhā.ī de
āvāz koī ho maiñ usī kī sadā sunūñ
har-samt mujh ko ek hī chehra dikhā.ī de
nādāniyoñ kā dil kī bhī koī ilaaj ho
ban ke vo ġhair bhī mujhe apnā dikhā.ī de
mujh ko to anjuman hī lagā apnī zaat meñ
ik shaḳhs dūsroñ ko jo tanhā dikhā.ī de
kis kā yaqīn kījiye kis kā na kījiye
har chāragar mujhe to luTerā dikhā.ī de
'jāved' apnī apnī basīrat kī baat hai
sab din kahīñ mujhe to añdherā dikhā.ī de