tere hasīn jism kī phūloñ meñ boss hai
go vahm hai ye vahm qarīn-e-qayās hai
vo ashk jis pe chāñdnī-shab kā libās hai
shāyad kitāb-e-ġham kā koī iqtibās hai
merī tarah har ik ko hai chāhat usī kī phir
guzre dinoñ ke zahar meñ kitnī miThās hai
barsoñ guzar ga.e magar ab tak nahīñ bujhī
kitnī ajiib ret ke sāhil kī pyaas hai
merī sadā khich is tarah aa.ī hai lauT kar
mahsūs ho rahā hai koī ās-pās hai
būñdeñ paḌeñ to aur ziyāda huī tapish
shāyad isī kā naam zamīñ kī bhaḌās hai
apne gharoñ meñ ḳhush haiñ charāġhoñ ko le ke log
kis ko ḳhabar ki raat kā chehra udaas hai
dhundlā sā zard maazī kā ho jis tarah varaq
kitnā hasīn aap kā rañg-e-libās hai
kis vaqt 'kaif' TuuT ke gir jaa.e kyā ḳhabar
palkoñ pe ek halqa-e-zanjīr-e-yās hai