chāñd ubhrā na mire jism se saayā niklā
shām-e-ġham aa.ī to maiñ ghar se akelā niklā
aaj aayā hai darīche pe havā kā jhoñkā
aaj koī to mujhe dekhne vaalā niklā
ye alag baat ki khulne lage palkoñ ke varaq
nok-e-lab se na kabhī harf-e-tamannā niklā
ho ga.e aur dar-o-bām nazar se ojhal
dar-haqīqat ye ujālā bhī añdherā niklā
koī āvāz to aa jaatī kahīñ se vāpas
ye kuaañ ghar kā to itnā bhī na gahrā niklā
lauT jā ab mirī āñkhoñ meñ nahīñ haiñ aañsū
tū samundar jise samjhā thā vo sahrā niklā