Monika Sharma Sarthi

pyar ke aaghosh mein hum ko Thaharna hi nahin

Monika Sharma Sarthi

Shimla, Himachal Pradesh, India

1980
pyaar ke āġhosh meñ ham ko Thaharnā hī nahīñ
aarzū kī us galī se ab guzarnā hī nahīñ
chīḳheñ merī sun ke bhī jab shab ne nazreñ pher liiñ
ḳhauf kam us tīrgī kā ab to karnā hī nahīñ
ye safar mushkil sahī par ham to chalte jā.eñge
de koī āvāz lekin ab Thaharnā hī nahīñ
ye ġhazab kī raunaqeñ kis kaam kī apne liye
sulh ab ḳhushiyoñ se hargiz ham ko karnā hī nahīñ
aab jab is zindagī kā ho gayā be-kār to
Duub kar dobāra is meñ ab nikharnā hī nahīñ
tum the shāmil thī udāsī bhī janāze par mire
ho chuke ruḳhsat hameñ ab tum pe marnā hī nahīñ
Top Urdushayar.com