Shaiq Muzaffarpuri

bedar ki nigah mein kal aur aaj kya

Shaiq Muzaffarpuri

bedār kī nigāh meñ kal aur aaj kyā
lamhoñ se be-niyāz kā koī ilaaj kyā
qadreñ bhaTak rahī haiñ abhī khañDarāt meñ
ham ahd-e-irtiqā se vasūleñ ḳhirāj kyā
har zehn be-lagām hai har fikr be-qayās
āzād nasl-o-qaum ke rasm-o-rivāj kyā
kis ko vahāñ pe kījiye tafrīq-āshnā
jis kā jahāñ lagāo na ho ehtijāj kyā
zinda ho jab zamīr to lāzim hai ehtiyāt
palkoñ kī chhāvnī meñ nigāhoñ kī laaj kyā
koī bhī rut ho bhuuk kī fasleñ ugā.iye
ham iiñT bo rahe haiñ to paa.eñ anaaj kyā
mausam ko chāhiye na mirī pairvī kare
'shā.iq' asīr-e-dard kā apnā mizāj kyā
Top Urdushayar.com