Shaiq Muzaffarpuri

chand-suraj na sahi ek diya hun main bhi

Shaiq Muzaffarpuri

chāñd-sūraj na sahī ek diyā huuñ maiñ bhī
apne tārīk makānoñ meñ jalā huuñ maiñ bhī
apne aslāf kī azmat se juḌā huuñ maiñ bhī
apnī tahzīb kī muTThī meñ dabā huuñ maiñ bhī
tum bhī girtī huī dīvār ko kāñdhā de do
apne pairoñ pe isī tarah khaḌā huuñ maiñ bhī
merī ḳhāmoshī-e-lab kā hai sadā se rishta
ye na samjhe koī be-saut-o-sadā huuñ maiñ bhī
koī DhūñDe mire chehre pe thakan ke āsār
vaqt ke saath to ik umr chalā huuñ maiñ bhī
jaane kab kis ke sañvarne kā irāda jaage
is liye sūrat-e-ā.īna rahā huuñ maiñ bhī
jhuk ke milne kī azal hī se hai fitrat 'shā.iq'
garche sar-basta-e-dastār-e-anā huuñ maiñ bhī
Top Urdushayar.com