rah-e-vafā meñ unhīñ kī ḳhushī kī baat karo
vo zindagī haiñ to phir zindagī kī baat karo
fuġhān-e-nīm-shabī ziist tak rahe qaa.em
hayāt soz-e-jigar hai isī kī baat karo
nizām-e-husn se vāqif ho phir vafā kaisī
unhīñ pe miT ke na.ī zindagī kī baat karo
zabān-e-qāl ko de kar sukūt kā paiġhām
zabān-e-hāl se paiham usī kī baat karo
karam hai un kā jo ho jaa.e 'vāsil'-e-jānāñ
vahāñ ḳhudī kī na kuchh be-ḳhudī kī baat karo