Abu Mohammad Wasil Bahraichi

masrur ho rahe hain gham-e-ashiqi se hum

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1922-2018
masrūr ho rahe haiñ ġham-e-āshiqī se ham
kyuuñ tañg hoñge kashmakash-e-zindagī se ham
koh-e-alam uThā hī liyā rāh-e-ishq meñ
apnī ḳhushī ko chhoḌ ke terī ḳhushī se ham
lab-hā-e-yār ne to gulistāñ piro liye
ḳhushbū jo pā rahe haiñ tirī pañkhuḌī se ham
apnī bahār dekh ke hairān rah ga.e
vāqif hue haiñ jab se rumūz-e-ḳhudī se ham
merī jabīn-e-shauq ko dar un kā mil gayā
uTh kar kahāñ ko jaa.eñ dar-e-bandagī se ham
rāh-e-vafā meñ jī ke mare mar ke bhī jiye
khelā usī tarah se kiye zindagī se ham
dāman ko tār-tār kiyā manzileñ milīñ
ā.eñge ab na hosh meñ dīvāngī se ham
ḳhud dard ban gayā mirā darmān-e-zindagī
itnā qarīb ho ga.e kuchh dard hī se ham
jo maqsad-e-hayāt ko bhūle vahī kaheñ
tañg aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham
'vāsil' ke dāġh-e-dil se hai manzil kī raushnī
varna nikal ke aate bhalā tīrgī se ham
Top Urdushayar.com