agar merī jabīn-e-shauq vaqf-e-bandagī hotī
to phir mahshūr un ke saath apnī zindagī hotī
jo tasvīr-e-ḳhyālī naqsh dil par ho ga.ī hotī
to apnī zaat meñ har-dam tirī jalva-garī hotī
razā-e-dost par qurbān jis kī har ḳhushī hotī
haqīqat meñ usī kī ġham se ḳhālī zindagī hotī
nigāh-e-mast-e-sāqī se jo mai-ḳhvāroñ ne pī hotī
yaqīnan hashr tak un ko na phir tishna-labī hotī
husūl-e-dard-o-ġham kī koshishoñ meñ gar kamī hotī
surūr-o-kaif kī lazzat kahāñ mujh ko milī hotī
mujhe vo bātoñ bātoñ meñ agar dīvāna kah dete
to dīvānoñ meñ merī mo'atabar dīvāngī hotī
tire mashq-e-sitam hī ne kisī qābil kiyā mujh ko
terā ehsān varna zindagī kis kaam kī hotī
tumhārā aa.ina ban kar jo dil pesh-e-nazar rahtā
tumhīñ tum jalva-gar hote na sūrat dūsrī hotī
tasavvur hī ke aalam meñ jo vo taklīf farmāte
to kyuuñ furqat-nasīboñ ke liye shab hijr kī hotī
agar terī tarah tablīġh kartā pīr-e-mai-ḳhāna
to duniyā-bhar meñ vaa.iz mai-kashī hī mai-kashī hotī
tumhārī be-niyāzī ko ġharaz kab hai magar merī
tamannā hai jabīn-e-shauq vaqf-e-bandagī hotī
hayāt-o-maut kā paiġhām detā har-nafas 'vāsil'
kabhī rū-posh vo hote kabhī jalva-garī hotī
jo ma.abūdān-e-bātil kī jahāñ meñ sarvarī hotī
muqābil haidarī ke past kyuuñ kar marhabī hotī