ye bandagī kā sadā ab samāñ rahe na rahe
sar-e-niyāz jhuke āstāñ rahe na rahe
tire ḳhayāl meñ maiñ huuñ mire ḳhayāl meñ tū
mire baġhair tirī dāstāñ rahe na rahe
kise ḳhabar hai ki har ġham meñ hai ḳhushī pinhāñ
ġham-e-habīb salāmat ye jaañ rahe na rahe
nigah ḳhamosh takallum kī rāzdāñ hogī
huzūr-e-dost ye goyā zabāñ rahe na rahe
hamārī laash gulistāñ meñ dafn kar sayyād
chaman se duur koī nauha-ḳhvāñ rahe na rahe
vo mujh se is liye kahte haiñ apne raaz kī baat
ki mere ba.ad koī rāzdāñ rahe na rahe
sadā unhoñ ne anal-haq kī is liye dī thī
sadā dahan meñ tumhārī zabāñ rahe na rahe
maiñ aaj is liye kartā huuñ ehtirām apnā
hamesha ḳhud pe tumhārā gumāñ rahe na rahe
usī ke ishq meñ miT kar ke ho ga.e 'vāsil'
sabāt usī ko hai apnā nishāñ rahe na rahe