Abu Mohammad Wasil Bahraichi

jabin-e-shauq par koi hua hai mehrban shayad

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1922-2018
jabīn-e-shauq par koī huā hai mehrbāñ shāyad
pa.e sajda bulātā hai kisī kā āstāñ shāyad
dam-e-naz.a vo aa.e aur ziyārat ho ga.ī un kī
mukammal ho ga.ī ab zindagī kī dāstāñ shāyad
ḳhizāñ kā naam anjām-e-bahārāñ kī ḳhabar sun kar
gulistāñ se kināra-kash huā hai bāġhbāñ shāyad
hañsā karte haiñ akasr log dīvānoñ kī bātoñ par
jahāñ vaale nahīñ samjhe mohabbat kī zabāñ shāyad
haram se mujh ko raġhbat hai na but-ḳhāne se dilchaspī
mire sajdoñ kī qismat meñ hai un kā āstāñ shāyad
mohabbat mustaqil ik ġham hai jis ko jāntā huuñ maiñ
mirī duniyā meñ koī bhī nahīñ hai shādmāñ shāyad
qafas tak aa ga.e uḌte hue tinke nasheman ke
havā ke dosh par aayā yahāñ tak āshiyāñ shāyad
jabīn-e-bandagī jis dam banā.ī ḳhāliq-e-kul ne
usī ke saath Daalī hai binā-e-āstāñ shāyad
vafādārī ġhurūr-e-be-ruḳhī ko ḳhatm kar degī
ziyāda to nahīñ kuchh din raheñ vo bad-gumāñ shāyad
jo dushman kah rahā hai sab ġhalat us ko samajhte haiñ
haqīqat meñ vahī hai be-haqīqat dāstāñ shāyad
jahān-e-dil to hai nazdīk 'vāsil' duur kyuuñ jaao
isī duniyā meñ rahtā hai tumhārā mehrbāñ shāyad
ijāzat bāzyābī kī na de vo pāsbāñ shāyad
na pahuñche ḳhvāb-gāh-e-nāz tak merī fuġhāñ shāyad
Top Urdushayar.com