Abu Mohammad Wasil Bahraichi

hasrat-e-did rahi did ka KHwahan ho kar

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1922-2018
hasrat-e-dīd rahī diid kā ḳhvāhāñ ho kar
dil meñ rahte haiñ magar rahte haiñ armāñ ho kar
vo mire paas haiñ ehsās ye hotā hai zarūr
is qadar duur haiñ nazdīk rag-e-jāñ ho kar
hosh meñ laane kī tadbīr na kar ai nāseh
maiñ ne paayā hai unheñ chāk-e-garebāñ ho kar
ḳhāna-e-dil hai tumhārā tumhīñ rah sakte ho
ġhair ko haq ye nahīñ hai rahe mehmāñ ho kar
dar-e-jānāñ pe pahuñchnā hai to is tarah pahuñch
chāk-dil chāk-jigar chāk-garebāñ ho kar
ruḳh kā shaidā.ī hai mā.il-ba-asīr-e-gesū
kahīñ kāfir na vo ho jaa.e musalmāñ ho kar
taar dāman ke uḌe ishq ko me.arāj milī
zeb-e-gulshan huā gul chāk-garebāñ ho kar
aa gayā hazrat-e-sūfī ke dar-e-daulat par
kyā karūñ ab guhar-o-la.al-ba-dāmāñ ho kar
lazzat-e-ġham pe karūñ rāhat-e-kaunain nisār
koī aa.e na mire dard kā darmāñ ho kar
jab koī apnī haqīqat se judā hotā hai
Thokareñ khātā hai duniyā meñ pareshāñ ho kar
is tarah jalva dikhāte haiñ na maiñ dekh sakūñ
dil meñ rahte haiñ magar aañkh se pinhāñ ho kar
un kā ā.īna huuñ ā.īne meñ hai aks-e-jamāl
kyuuñ na dekheñ vo mujhe ġhaur se hairāñ ho kar
un ke jalvoñ meñ jo kho jā.ūñ to DhūñDo na mujhe
kaun miltā hai kise vāsil-e-jānāñ ho kar
ba.ad-az-marg ināyāt meñ tafrīq na kī
dil meñ tasvīr rahī aap kī ehsāñ ho kar
vaqt aisā bhī paḌā bādiya-paimā.ī meñ
raah meñ gul jo mile ḳhār-ba-dāmāñ ho kar
Top Urdushayar.com