Abu Mohammad Wasil Bahraichi

tasawwuraat mein inko bula ke dekh liya

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1922-2018
tasavvurāt meñ in ko bulā ke dekh liyā
zamāne bhar kī nazar se chhupā ke dekh liyā
fasāna-e-ġham-e-furqat sunā ke dekh liyā
unhoñ ne sirf mujhe muskurā ke dekh liyā
kabhī kisī ne sar-e-tūr jā ke dekh liyā
kabhī kisī ne kisī ko bulā ke dekh liyā
nigāh-e-parda-kushā kā kamāl kyā kahnā
jahāñ jahāñ vo chhupe us ne jā ke dekh liyā
kahā thā un ko na bulvāo vo na ā.eñge
hamārī baat na maanī bulā ke dekh liyā
ye kis ke vāste aañsū bahā.e jaate haiñ
tumheñ kisī ne jo us vaqt aa ke dekh liyā
kisī ne bhī na diyā saath marne vaale kā
har ik rafīq pe sab kuchh luTā ke dekh liyā
mizāj-e-husn to ik haal par rahā qaa.em
luTāne vāloñ ne sab kuchh luTā ke dekh liyā
ḳhushī kī baat hai niklī to hasrat-e-dīdār
karam-navāz ko sab kuchh luTā ke dekh liyā
rumūz-e-husn junūñ-āshnā rahe varna
ḳhirad pukārtī jalve ḳhudā ke dekh liyā
ġhurūr-e-husn kī ḳhuddāriyāñ ḳhud aa na sakā
shuā-e-husn ko markaz pe lā ke dekh liyā
kabhī na tum ne mizāj-e-dil-e-hazīñ pūchhā
bas ab muaaf karo aazmā ke dekh liyā
kahīñ Thikānā nahīñ ham qafas-nasīboñ kā
chaman meñ rah ke nasheman banā ke dekh liyā
vafā-shi.ār vafāoñ se baaz aa na sake
unhoñ ne ḳhvāb unheñ aazmā ke dekh liyā
sivā.e aap ke koī na ban sakā apnā
har ek shaḳhs ko apnā banā ke dekh liyā
tum aa ga.e dam-e-āḳhir baḌā kiyā ehsāñ
ḳhatā muaaf jo tum ko bulā ke dekh liyā
jo dil se aa.e zabāñ par vo raaz raaz kahāñ
jo rāzdāñ the unheñ bhī batā ke dekh liyā
janāza dekh ke 'vāsil' kā ho ga.e betāb
kafan unhoñ ne bil-āḳhir haTā ke dekh liyā
Top Urdushayar.com