maiñ jo bad-havās thā mahv-e-qayās tum bhī the
bichhaḌte vaqt zarā sā udaas tum bhī the
badalte vaqt kā manzar thā sab kī āñkhoñ meñ
misāl maiñ thā agar iqtibās tum bhī the
mujhe to daar milā tum ko kaise taḳht milā
sunā hai merī tarah haq-shanās tum bhī the
tumhāre hoñT se ḳhushiyāñ chhalak ga.iiñ kaise
uThā.e haath meñ ḳhālī gilās tum bhī the
akelā-pan pe ka.ī sher kah diye maiñ ne
ye aur baat mire aas paas tum bhī the