ḳhalvat-e-jāñ se chalī baat zabāñ tak pahuñchī
koī chiñgārī añgeThī se dhuāñ tak pahuñchī
raaz o asrār ke khulne kī tavaqqo thī kise
ik kahānī thī kisī tarah bayāñ tak pahuñchī
rah-guzar kā hai taqāzā ki abhī aur chalo
ek ummīd jo manzil ke nishāñ tak pahuñchī
bā.is-e-rāhat-o-ġham lutf-e-karam thā varna
jitnī ḳhvāhish thī faqat suud o ziyāñ tak pahuñchī
tū ne parda na haTāyā mujhe taskīñ na huī
bandagī haar ke phir kū-e-butāñ tak pahuñchī