yaqīn aaj bhī vahm-o-gumān meñ gum hai
zamīn jaise kahīñ āsmān meñ gum hai
ye āftāb bhī kis zāviye se Dhaltā hai
zarā sī dhuup liye ān-bān meñ gum hai
darīche duur hue jaate haiñ makīnoñ se
sabā bhī sirf tavāf-e-makān meñ gum hai
maiñ ek but huuñ ajā.ib-gharoñ meñ rakkhā huā
mirā vajūd mirī dāstān meñ gum hai
natīja phir se kahīñ multavī na ho jaa.e
mirā savāl tire imtihān meñ gum hai