agarche maiñ ne likhīñ us ko arziyāñ bhī bahut
uḌā.īñ us ne magar un kī dhajjiyāñ bhī bahut
milegā fā.eda kuchh ziist ke safar meñ mujhe
agarche is meñ hai adnesha-e-ziyāñ bhī bahut
mire qarīb jab aaoge jaan jāoge
burā.iyāñ haiñ agar mujh meñ ḳhūbiyāñ bhī bahut
baḌe dukhoñ meñ guzārī hai zindagī phir bhī
jahāñ maiñ chhoḌī haiñ ham ne kahāniyāñ bhī bahut
dikhā.ī dete haiñ kuchh phuul ab bhī shāḳhoñ par
bikher dī haiñ havāoñ ne pattiyāñ bhī bahut
ye aur baat hai mahfūz bijliyoñ se na the
mirī nigāh meñ the yuuñ to āshiyāñ bhī bahut
hamārī dostī ai dost shak kī zad meñ hai
haiñ qurbateñ bhī bahut ham meñ dūriyāñ bhī bahut
masarratoñ kī talab meñ jo ghar se niklā thā
usī ke hisse meñ aa.eñ udāsiyāñ bhī bahut
abhī to habs hai mushkil hai saañs lenā bhī
havā chalī to phir ā.eñgī āñdhiyāñ bhī bahut
ġhazab kā husn sahī terī sādgī meñ magar
pasand haiñ mujhe ai dost shoḳhiyāñ bhī bahut
mirā ḳhayāl hai pā lūñgā maiñ 'rashīd' use
mire ḳhayāl meñ lekin haiñ ḳhāmiyāñ bhī bahut