Muniruddin Sahar Saeedi

yaad-e-mazi ke ujalon mein bahut der talak

Muniruddin Sahar Saeedi

1940
yād-e-māzī ke ujāloñ meñ bahut der talak
Duubā rahtā huuñ ḳhayāloñ meñ bahut der talak
naam se bhī mire vāqif nahīñ hotā koī
vo jo rahte na havāloñ meñ bahut der talak
jab bhī un gāloñ ke girdāb pe paḌtī hai nazar
ġharq rahtā huuñ ḳhayāloñ meñ bahut der talak
muztarib rahtī haiñ aahaT pe chamak jaatī haiñ
kaun rah paa.e ġhazāloñ meñ bahut der talak
naġhma-o-sāz kī tāsīr tilsmātī hai
guuñj rahtī hai shivāloñ meñ bahut der talak
fazl-e-rab jaan ke jab khātā huuñ rūkhī-sūkhī
lutf aatā hai nivāloñ meñ bahut der talak
ḳhūbī-e-sher ke charche bhī rahe ḳhuub 'sahar'
aap ke chāhne vāloñ meñ bahut der talak
Top Urdushayar.com