ḳhud se niklūñ bhī to rasta nahīñ āsān mirā
merī socheñ haiñ ghanī ḳhauf hai gunjān mirā
hai kisī aur samay par guzar-auqāt mirī
din ḳhasāra hai mujhe raat hai nuqsān mirā
merā tahzīb-o-tamaddun hai ye vahshat merī
merā qissa, mirī tārīḳh hai nisyān mirā
maiñ kisī aur hī aalam kā makīñ huuñ pyāre
mere jañgal kī tarah ghar bhī hai sunsān mirā
din nikalte hī mire ḳhvāb bikhar jaate haiñ
roz girtā hai isī farsh pe gul-dān mirā
mujh ko jis naav meñ aanā thā kahīñ Duub ga.ī
ḳhvāb hai niiñd ke sāhil pe pareshān mirā