kamāl-e-ishq dikhāne pe ab kamar bāñdho
na.ī zamīñ hai mazāmīn pur-asar bāñdho
hisār-e-jism se bāhar bhī vus.ateñ haiñ bahut
chaman kī sair karo titliyoñ ke par bāñdho
maza kuchh aur hī aa.egā dil lagāne meñ
vafā kī shāḳh se ummīd ke samar bāñdho
ġhazal ko maan liyā sab ne ābrū-e-suḳhan
shu.ūr-o-fikr ke mauzūa mo'atabar bāñdho
ġhazāl fikr ke āvāra ghūmte haiñ 'sahar'
tum un ko lā ke kisī roz apne ghar bāñdho