apne iqrār pe qaa.em na vo inkār pe hai
kis parī-zād kā saaya mire dildār pe hai
fikr-e-tahzīb na asnāf-e-adab se raġhbat
āj-kal sab kī nazar dirham-o-dīnār pe hai
aisā lagtā hai chalī aa.egī pahlū meñ abhī
qadd-e-ādam tirī tasvīr jo dīvār pe hai
mujh ko is zulmat-e-shab-zār se nisbat hī kyā
merī bedār nazar sub.h ke āsār pe hai
maiñ to bikne pe huuñ raazī ba-sar-o-chashm 'sahar'
faisla aa ke Tikā mere ḳharīdār pe hai