ta.alluqāt chaTaḳhte haiñ TuuT jaate haiñ
jab ham ḳhulūs-o-mohabbat ko āzmāte haiñ
ḳhushī kā ek nayā zāviya ubhartā hai
ham apne bachchoñ se jis vaqt haar jaate haiñ
shaġhaf hai ḳhuub rivāyāt-e-raftagāñ se magar
ham ahd-e-nau ke tarāne bhī gungunāte haiñ
udaas shab bhī amāvas kī muskurātī hai
jo qumqume se nigāhoñ meñ jagmagāte haiñ
hamāre biich jo dīvār uTh rahī hai 'shifā'
chalo ki mil ke use aaj ham girāte haiñ