jin ke fōt-pāth pe ghar paañv meñ chhāle hoñge
un ke zehnoñ meñ na masjid na shivāle hoñge
bhūke bachchoñ kī umīdeñ na shikasta ho jaa.eñ
maañ ne kuchh ashk bhī paanī meñ ubāle hoñge
tere lashkar meñ koī ho to bulā le us ko
merā da.avā hai ki us samt jiyāle hoñge
jañg par jaate hue beTe kī maañ se pūchho
kaise jazbāt ke tūfān sambhāle hoñge
sajda-e-haq ke liye sīna-sipar the ġhāzī
aise duniyā meñ kahāñ chāhne vaale hoñge
kuchh na sāhil pe milegā ki 'shifā' us ne to
dur-e-yaktā ke liye bahr khañgāle hoñge