Jauhar meer

aib bhi tere hunar lagte hain

Jauhar meer

1936-2004
aib bhī tere hunar lagte haiñ
terī furqat kā samar lagte haiñ
kal jo qadmoñ meñ bichhe jaate the
ab vo saa.e bhī shajar lagte haiñ
vo uḌe phirte haiñ hairat kyā hai
chiyūñTiyoñ ke bhī to par lagte haiñ
pī ga.iiñ kitne samundar sadiyāñ
ab bhī dariyā hī amar lagte haiñ
ek sūraj hī to gahnāyā hai
log kyuuñ ḳhāk-basar lagte haiñ
jal rahā hai koī gulshan shāyad
ashk āñkhoñ meñ sharar lagte haiñ
jām-e-jam the jo mire dost kabhī
hādsa hai ki ḳhabar lagte haiñ
ham jahāñ rahte haiñ vo dasht vo ghar
dasht lagte haiñ na ghar lagte haiñ
bā.is-e-rañj the ilzām kabhī
ab to ye raḳht-e-safar lagte haiñ
rāste band haiñ saare 'jauhar'
phir bhī vo rāhguzar lagte haiñ
Top Urdushayar.com