Jauhar meer

dard ki aankh se tere gham ka lahu

Jauhar meer

1936-2004
dard kī aañkh se tere ġham kā lahū
ban ke sailāb bahne lagā chār-sū
dāman-e-dil jhaTak kar koī chal diyā
gungunātī rahī der tak āb-jū
ḳhushk shāḳhoñ ne dhartī kā ġham kah diyā
zard-pattoñ kī bach hī ga.ī aabrū
bain kartī havāoñ kī āshuftagī
chhīn kar le ga.ī kāvish-e-justujū
dekhne sogvārān-e-yusuf hameñ
kitne paiġhambaroñ kī luTī aabrū
phuul apnī tamāzat se sañvlā ga.e
laakh phailā rahā dāman-e-rañg-o-bū
apnī sāñsoñ pe yuuñ bad-gumānī sī hai
koī kaaTe badan to na nikle lahū
'mīr'-jī vo muġhannī kahāñ kho gayā
ham to ghuum aa.e haiñ dar-ba-dar kū-ba-kū
Top Urdushayar.com