ḳhvāb ārām nahīñ ḳhvāb pareshānī hai
mere bistar meñ aziyyat kī farāvānī hai
mujh ko to vo bhī hai ma.alūm jo ma.alūm nahīñ
ye samaj-būjh nahīñ hai mirī nādānī hai
kuchh use sochne detā hī nahīñ apne sivā
merā mahbūb to mere liye zindānī hai
hai musībat meñ giraftār musībat merī
jo bhī mushkil hai vo mere liye āsānī hai
mauja-e-mai hai bahut mere sukūñ par betāb
zabt-e-girya se mire jaam meñ tuġhyānī hai
maiñ gunahgār-e-tamannā huuñ mujhe qatl karo
dil to haarā hai magar haar nahīñ maanī hai