pachhtā rahe haiñ dard ke rishtoñ ko toḌ kar
sar phoḌte haiñ apne hī dīvār-o-dar se log
patthar uchhāl uchhāl ke marham ke naam par
karte rahe mazāq mire zaḳhm mere log
kab TuuTe dekhiye mire ḳhvāboñ kā silsila
ab to gharoñ ko lauT rahe haiñ safar se log
sailāb jañg zalzale tūfān āñdhiyāñ
sunte rahe kahāniyāñ būḌhe shajar se log
kyā ḳhuub shohratoñ kī havas hai ḳhud apne naam
likhne lage kitāboñ meñ ab āb-e-zar se log