na kuchh ziyāda na kuchh kam tire havāle se
vahī hai dard kā aalam tire havāle se
khule jo zaḳhm ke Tāñke to ye huā mahsūs
sabā ne rakh diyā marham tire havāle se
vahī hai dil kā taḌapnā vahī hai kaifiyyat
vahī mizāj hai paiham tire havāle se
chalī hai hijr ke mausam meñ jab bhī purvā.ī
huī hai aañkh mirī nam tire havāle se
ḳhizāñ kā zikr to merī zabāñ pe thā hī nahīñ
bahār kartī hai mātam tire havāle se
mirī hayāt thī ḳhushiyoñ se ham-kanār magar
hue haiñ dard munazzim tire havāle se
tirā havāla diyā thā ki yak-ba-yak 'mājid'
zamāna ho gayā barham tire havāle se