laakh jahāñ meñ jhūToñ kī man-mānī hai
sachchā.ī kī apnī riit purānī hai
lab par āh-e-musalsal aañkh meñ paanī hai
tanhā.ī kā har lamha nuqsānī hai
shor hamesha rahtā hai is kūche meñ
dil hai yā siine meñ ik zindānī hai
jis ko chāheñ be-izzat kar sakte haiñ
aap baḌe haiñ aap ko ye āsānī hai
kamzoroñ par rahmat ban kar chhā jaao
merā qaul nahīñ hukm-e-rabbānī hai
ham sab un ke dāman se vābasta haiñ
mushkil meñ bhī ham ko ye āsānī hai
tujh ko zamāna mujh se chhīne nā-mumkin
terā merā rishta rūhānī hai
maiñ bhī un ke maddāhoñ meñ shāmil huuñ
is duniyā par merī bhī sultānī hai
dhartī ambar yaarī us kī hai sab se
'mājid' jis ko kahte haiñ sailānī hai