ashk mere haiñ magar dīda-e-nam hai us kā
ye jo hoñToñ pe tabassum hai karam hai us kā
an-kahī baat bhalā likkhūñ to likkhūñ kaise
saade kāġhaz pe koī raaz raqam hai us kā
fāsle aise ki ik umr meñ tai ho na sakeñ
qurbateñ aisī ki ḳhud mujh meñ janam hai us kā
sañg-o-āhan kā baḌā shahr bhī vīrāna lage
ye junūñ merā hai aur dasht-e-sitam hai us kā
dard ban kar mire siine meñ paḌā rahtā hai
ye mirā dil hai ki ik naqsh-e-qadam hai us kaa?
ek tūfāñ kī tarah kab se kināra-kash hai
phir bhī 'bāqar' mirī nazroñ meñ bharam hai us kā