na apnā naam na chehra badal ke aayā huuñ
ki ab kī baar maiñ rasta badal ke aayā huuñ
vo aur hoñge jo kār-e-havas pe zinda haiñ
maiñ us kī dhuup se saaya badal ke aayā huuñ
zarā bhī farq na paḌtā makāñ badalne se
vo bām-o-dar vo darīcha badal ke aayā huuñ
mujhe ḳhabar hai ki duniyā badal nahīñ saktī
isī liye to maiñ chashma badal ke aayā huuñ
vahī sulūk vahī bhiik chāhtā huuñ maiñ
vahī faqīr huuñ kaasa badal ke aayā huuñ
mujhe batāo koī kaam phir se karne kā
maiñ apnā ḳhuun pasīna badal ke aayā huuñ
maiñ ho gayā huuñ kisī niiñd kā shirākat-dār
maiñ ik hasīn kā takiya badal ke aayā huuñ
suno ki joñk lagā.ī hai maiñ ne patthar meñ
maiñ ik nigāh kā shīsha badal ke aayā huuñ
mirā tarīqa mirā khel hī nirālā hai
na maiñ zabān na lahja badal ke aayā huuñ
vahī asiir huuñ aur hai mirī vahī auqāt
maiñ is jahān meñ piñjra badal ke aayā huuñ