Charagh Sharma

wo sirf qisse kahaniyon ke muamle the charagh rakh de

Charagh Sharma

Chandausi, Uttar pradesh, India

1998
vo sirf qisse kahāniyoñ ke muāmle the charāġh rakh de
charāġh ghisne se koī jin-vin nahīñ nikalte charāġh rakh de
hamārī ma.asūmiyat to dekho rakh aa.e dil ham huzūr-e-jānāñ
ki jaise koī ḳhudā kā banda havā ke aage charāġh rakh de
kisī ke saa.e ko qaid karne kā ik tarīqa batā rahā huuñ
ik us ke aage charāġh rakh de ik us ke pīchhe charāġh rakh de
tujhe bahut shauq thā mohabbat kī garm lapToñ se khelne kā
le jal ga.ī na hathelī ab ḳhush kahā thā maiñ ne charāġh rakh de
charāġh le ke bhī DhūñDne se charāġh jaisā nahīñ milegā
so rakhnī hai to charāġh se rakh nahīñ to pyāre charāġh rakh de
charāġh raushan zarūr kar to par is se pahle ḳhudā kī ḳhātir
yahāñ pe phailā hai jo añdherā sameT zer-e-charāġh rakh de
maiñ dil kī bātoñ meñ aa gayā aur uThā ke le aayā us kī paa.el
dimāġh detā rahā sadā.eñ charāġh rakh de charāġh rakh de
Top Urdushayar.com