auroñ kī pyaas aur hai aur us kī pyaas aur
kahtā hai har gilās pe bas ik gilās aur
ḳhud ko ka.ī baras se ye samjhā rahe haiñ ham
kaaTī hai itnī umr to do-chār maas aur
pahle hī kam hasīn kahāñ thā tumhārā ġham
pahnā diyā hai us ko ġhazal kā libās aur
Takrā rahī hai saañs mirī us kī saañs se
dil phir bhī de rahā hai sadā aur paas aur
allāh us kā lahja-e-shīrīñ ki kyā kahūñ
vallāh us pe urdu zabāñ kī miThās aur
bāñdhā hai ab naqāb to phir kas ke bāñdh le
ik ghūñT pī ke ye na ho baḌh jaa.e pyaas aur
'ġhālib' hayāt hote to karte ye e'tirāf
daur-e-'charāġh' meñ hai ġhazal kā class aur