hai aam azal hī se faizān mohabbat kā
imkān musallam hai imkān mohabbat kā
toḌā nahīñ jā saktā paimān mohabbat kā
nuqsān ḳhud apnā hai nuqsān mohabbat kā
phir un kī nigāhoñ se Takrā.ī mirī nazreñ
phir baḌhne lagā dil meñ tūfān mohabbat kā
ek ek tamannā meñ lākhoñ haiñ tamannā.eñ
armānoñ kī duniyā hai armān mohabbat kā
is vāste muslim kī fitrat meñ mohabbat hai
detā hai sabaq us ko qur.ān mohabbat kā
barbād-e-mohabbat kī hālat hai ajab hālat
hai be-sar-o-sāmānī sāmān mohabbat kā
jazbāt mohabbat ke maiñ laakh chhupātā huuñ
kartī haiñ mirī nazreñ elaan mohabbat kā
goyā mire siine meñ mīzān-e-mohabbat hai
yuuñ dil meñ jigar meñ hai paikān mohabbat kā
vo nuur kā partav hai yā husn kā partav hai
hai diin mohabbat kā īmān mohabbat kā
jo dard kā hāmil hai vo zauq meñ kāmil hai
behis ko nahīñ hotā īqān mohabbat kā
ijmāl ye be-shak hai tafsīl kā ā.īna
mazmūn pe haavī hai unvān mohabbat kā
haiñ us ke tasavvur ko ghere hue armāñ sab
rahtā hai faqīroñ meñ sultān mohabbat kā
aatī hai nazar us meñ iḳhlās kī har sūrat
ā.īna hai ā.īna insān mohabbat kā
nairañg mohabbat kā har sher se zāhir hai
hai 'qadr' kā dīvāñ bhī dīvān mohabbat kā