zabt kar aah baar baar na kar
ġham-e-ulfat ko sharmsār na kar
jis ko ḳhud apnā e.atibār na ho
aise insāñ kā e.atibār na kar
us ke fazl-o-karam pe rakh nazreñ
apne sajdoñ kā e.atibār na kar
baaġh ujaḌne kā ġham hī kyā kam hai
jaane bhī de ġham-e-bahār na kar
log tujh ko haqīr samjheñge
had se zaa.id bhī inkisār na kar
vaqt se fā.eda uThā lekin
vaqt kā koī e.atibār na kar
lutf uThā bas nigāh-e-avval se
har nazar ko gunāhgār na kar
jis se fitne bapā hoñ duniyā meñ
aise ġhāfil ko hoshiyār na kar
'qadr' ko tū ne dī hai jab izzat
ai ḳhudā us ko be-vaqār na kar