koh-e-ġham se kyā ġharaz fikr-e-butāñ se kyā ġharaz
ai subuk-rūī tujhe bār-e-garāñ se kyā ġharaz
be-nishānī-e-mohabbat ko nishāñ se kyā ġharaz
ai yaqīn-e-dil tujhe vahm-o-gumāñ se kyā ġharaz
nāla-e-be-saut ḳhud banñe lagā mohr-e-sukūt
be-zabānī ko hamārī ab zabāñ se kyā ġharaz
jauhar-e-zātī haiñ us kī teziyāñ ai sañg-dil
teġh-e-abrū ko tirī sañg-e-fasāñ se kyā ġharz
jab mohabbat meñ huī rusvā.ī apnī parda-dār
raaz se phir kyā ta.alluq rāz-dāñ se kyā ġharaz
jaan de kar zinda-e-jāved ho jaatā hai vo
maut ke ḳhvāhāñ ko umr-e-jāvedāñ se kyā ġharaz
maiñ ye kahtā huuñ ki donoñ meñ zarūrī laag hai
vo ye kahte haiñ zamīñ ko āsmāñ se kyā ġharaz
dahr meñ jo kuchh bhī honā thā vo ho kar hī rahā
ab guzishta vārdātoñ ke bayāñ se kyā ġharaz
jis meñ qudrat ḳhud nishāne par pahuñch jaane kī ho
'qadr' phir us tiir ko sa.ī-e-kamāñ se kyā ġharaz